Jindagi ne thama hain humein iss pal
Layenge hum ek naya sunahra kal
Samay ko na jane denge vyarth
Samjehnge jindagi ka asli arth
Mana abhi hum baithe hain ghar
Hain is khatarnak bimari ka dar
Is daur ke bhi hain apne fayde
Nibhayenge agar hum sare kayde
Bana-ke rakhenge ek doosre se 1 meter ki doori
Har aadhey ghante main haath dhona hain jaroori
Ghar se niklenge to mask pehnenge
Samajik meljol main kisi se nahi milenge
Kar lenge agar in sab baato ka sankalp
Kyoonki inke elawa nahi hain koi aur vikalkp
Toh milke hum khatam karenge ye mahmaari
Yaha ka har ek nagrik kahlayega agyakaari
Dekhenge cheen, Amrica, Roos aur duniya saari
Ki ban gaya hain hamara Desh fir se chamatkaari